Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

Thursday, November 24, 2011

Taweez likhna wala kamra

As salamu allaiqum
Jo kohi be shaks taweez likhna chahe to sab se pehla kamre ka intakhab kareen . abb kamra saaf sotara hona chaheya agar room main karpet wegara bicha howa ha to sab se pehla is ko deak la ka is main pishab ya kohi dosare napaki to nahi ha agar ha to pehla us ko dohe . room ko belkul pak saaf karde . or attach bathroom wala kamra to belkul be use na kareen . q k wo use karna se ulta nooksan hoga . koshes kareen k ghar ki upper wali manzil ka room use kareen . taweez jab be likh to napak orate apka samna nahi honi chaheya matlab apka room main nahi honi chaheya or koshes kareen ka na he app napak orate ka hath ka khana khae . room ka ahsa intakhab kareen k app us main bakhore (kushboo)be jala sake . room ka under tasaweer nahi honi chaheya . tv , nach , gana , juta , ganda moze, ya badbudar cheez , nahi honi chaheya . room jitna zada saaf sotara hoga apki rohaniyat otni zada bareen gee . apna room main talah laga k rakhe kisi ko be nahi jana de apni gayar mojood gee main os room main . yaha tak k mahman wegara ko be apni mojod gee main bolahe room main . garaz yeah ha k safahe ka khas khail rakhe .


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com





2 comments:

Anonymous said...

assalam o alaikum alim sahab aap ke bohot sare blogs or bohot he zyada malumat mai ne padhe hai diffrent site main.hamari family ko badi mushkilon ka samna hai taqreban 20saal se bohot sare rishtedar nazar hai ham bilkum akely pad gaee hai yaha tak ki ham sab bimar rehte hai or ab to bhai bi maa bap ki brizati ka ke ham sab se nazar ho gaya hai.plzzzzz agar aap hamari madad ka saktr hai to plz reply kijeya aik badnaseeb bandae khuda

Masiullah said...

Assalamu alaikum,

Moulana Sahib, kya naqsh likhne ke liye koi zakat (commonly) ada karni hai (apart from zakat given for specific naqsh in roohani book).

Kya main kisi ruhani kitab mein ijazat ke sath diya hua naqsh kaise likhoon ?

1. Arq e Gulab aur zaffron

2. Naqsh ke khane kaise banane hain ?
lakheer dayein se bayein kheenchu ya bayein se dayein ?

3. naqsh banane ke baad (taweez) is ku kya plastic mein pack karsaktha hoon ? take paani se bheeg na jaye
4. likne ka sa'ath dekhloonga. kya aur kuch mujhse chootgaya hai? to batadein.

Shukriah

Popular Posts